Ehsaas | एहसास
Berang kya hoti hai jindagi es baat ka ehsaas aaj hai hua tere bin saansein ruk si jaati hai es baat ka ehssas aaj hai hua tujh se door to bade chaur me ho gaya tha par door hone ke dard ka ehsaas aaj hai hua tere sath bitaye lamhon ko befijul samajhta tha par un lamhon ke ehemiyat ka ehssas aaj hai hua teri mushkilon ko mazak me liya karta tha par un muskilon ke piche chupa dard ka ehsaas aaj hai hua saayad pyaar to main bhi tujhse karne laga tha par en ehsaason ko pyaar kehte hain es baat ka ehssas aaj hai hua jab tu kareeb hoti thi to tujhse door bhaga karta tha par tere na hone ke dard ka ehsaas aaj hai hua enhi ehsaason ko pyaar kehte hain es baat ka ehsaas aaj hai hua ------- Aditya Deb Roy
Comments
Post a Comment